sote hi apne bistar par
sote hī apne bistar par
hote haiñ ham us ke ghar par
zulfoñ kā saaya sāġhar par
kohrā chhāyā hai manzar par
baam pe vo ham rāh-guzar par
bartar kā partav kamtar par
tanzeñ kab tak us kāfir par
joñk nahīñ lagtī patthar par
kal thā lekin aaj nahīñ hai
tāqat-var kā Theñgā sar par
ham par terī tanqīdeñ kyā
shīshe kā hamla patthar par
har manzar kuchh Dhāras degā
nazreñ rakhiye har manzar par
aap kā har irshād ġhalat bhī
palkoñ par āñkhoñ par sar par
'shād' jinheñ ham se nafrat hai
ham kyuuñ jaa.eñ un ke ghar par
sote hi apne bistar par
hote hain hum us ke ghar par
zulfon ka saya saghar par
kohra chhaya hai manzar par
baam pe wo hum rah-guzar par
bartar ka partaw kamtar par
tanzen kab tak us kafir par
jonk nahin lagti patthar par
kal tha lekin aaj nahin hai
taqat-war ka Thenga sar par
hum par teri tanqiden kya
shishe ka hamla patthar par
har manzar kuchh Dhaaras dega
nazren rakhiye har manzar par
aap ka har irshad ghalat bhi
palkon par aankhon par sar par
'shad' jinhen hum se nafrat hai
hum kyun jaen un ke ghar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.