kaThin hai baDa ye safar zindagi ka
kaThin hai baḌā ye safar zindagī kā
nahīñ hai guzārā idhar zindagī kā
milī thī mujhe bhī ka.ī saal pahle
nahīñ jaatā ab tak asar zindagī kā
ḳhudā is qadar mehrbāñ ho sabhī par
harā ho hamesha shajar zindagī kā
ka.ī zaḳhm khā kar bhī zinda huuñ ab tak
bahut hī baḌā hai jigar zindagī kā
tirā yuuñ har ik baat par ruuTh jaanā
nahīñ hogā aise guzar zindagī kā
kaThin hai baDa ye safar zindagi ka
nahin hai guzara idhar zindagi ka
mili thi mujhe bhi kai sal pahle
nahin jata ab tak asar zindagi ka
KHuda is qadar mehrban ho sabhi par
hara ho hamesha shajar zindagi ka
kai zaKHm kha kar bhi zinda hun ab tak
bahut hi baDa hai jigar zindagi ka
tera yun har ek baat par ruTh jaana
nahin hoga aise guzar zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.