hum ko is tarh sanwar jaana hai
ham ko is tarh sañvar jaanā hai
tirī dahlīz pe mar jaanā hai
duniyā sunsān galī kī mānind
dekho chup-chāp guzar jaanā hai
sab buzurgoñ kī hai 'izzat dil meñ
sab ko phaldār shajar jaanā hai
kab baraste haiñ garajne vaale
mujh ko kahnā nahīñ kar jaanā hai
sang uThātā hai zamāna mujh pe
yā'nī duniyā ne samar jaanā hai
zindagī naav ke jaisī 'maqsūd'
ik na ik din to utar jaanā hai
hum ko is tarh sanwar jaana hai
teri dahliz pe mar jaana hai
duniya sunsan gali ki manind
dekho chup-chap guzar jaana hai
sab buzurgon ki hai 'izzat dil mein
sab ko phaldar shajar jaana hai
kab baraste hain garajne wale
mujh ko kahna nahin kar jaana hai
sang uThata hai zamana mujh pe
ya'ni duniya ne samar jaana hai
zindagi naw ke jaisi 'maqsud'
ek na ek din to utar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.