ishq mein Dub jaana paDta hai
'ishq meñ Duub jaanā paḌtā hai
zaḳhm par zaḳhm khānā paḌtā hai
garm aañsū udaas rātoñ meñ
chupke chupke bahānā paḌtā hai
har jagah 'aql kī nahīñ chaltī
kuchh jagah sar jhukānā paḌtā hai
mai-kade kā usuul hai sāhab
haath aage baḌhānā paḌtā hai
muft meñ bhiik bhī nahīñ miltī
ḳhud ko had se girānā paḌtā hai
āñsuoñ ko sañbhāl kar rakhnā
bazm meñ muskurānā paḌtā hai
raaz khultā hai 'ishq kā 'akram'
jab jigar āzmānā paḌtā hai
'ishq mein Dub jaana paDta hai
zaKHm par zaKHm khana paDta hai
garm aansu udas raaton mein
chupke chupke bahana paDta hai
har jagah 'aql ki nahin chalti
kuchh jagah sar jhukana paDta hai
mai-kade ka usul hai sahab
hath aage baDhana paDta hai
muft mein bhik bhi nahin milti
KHud ko had se girana paDta hai
aansuon ko sanbhaal kar rakhna
bazm mein muskurana paDta hai
raaz khulta hai 'ishq ka 'akram'
jab jigar aazmana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.