baaton baaton mein koi aisa bhi dhoka de gaya
bātoñ bātoñ meñ koī aisā bhī dhoka de gayā
merī duniyā le gayā aur apnī duniyā de gayā
dard-e-dil ashk-e-ravāñ soz-e-tamannā de gayā
mehrbāñ kitnā thā koī mujh ko kyā kyā de gayā
kam na hone dī kabhī us ne mire ġham kī bahār
jab kabhī yaad aa gayā ik zaḳhm taaza de gayā
gardish-e-daurāñ se baḌh kar haiñ kahīñ us ke sitam
ġham jo duniyā de nahīñ saktī vo tanhā de gayā
zulm bhī kartā rahā vo rahm bhī kartā rahā
dil ko sahrā kar gayā āñkhoñ ko dariyā de gayā
chāñdnī rātoñ meñ jis kā muntazir rahtā thā maiñ
'umr bhar kā ġham ḳhushī kā ek lamha de gayā
ab to kaliyoñ ke tabassum se bhī Dar jaatā huuñ maiñ
muskurā kar jo milā vo zaḳhm gahrā de gayā
shā'irī 'bāqī' mire zaḳhmoñ kā marham ban ga.ī
merā qātil mujh ko lafzoñ kā sahārā de gayā
baaton baaton mein koi aisa bhi dhoka de gaya
meri duniya le gaya aur apni duniya de gaya
dard-e-dil ashk-e-rawan soz-e-tamanna de gaya
mehrban kitna tha koi mujh ko kya kya de gaya
kam na hone di kabhi us ne mere gham ki bahaar
jab kabhi yaad aa gaya ek zaKHm taza de gaya
gardish-e-dauran se baDh kar hain kahin us ke sitam
gham jo duniya de nahin sakti wo tanha de gaya
zulm bhi karta raha wo rahm bhi karta raha
dil ko sahra kar gaya aankhon ko dariya de gaya
chandni raaton mein jis ka muntazir rahta tha main
'umr bhar ka gham KHushi ka ek lamha de gaya
ab to kaliyon ke tabassum se bhi Dar jata hun main
muskura kar jo mila wo zaKHm gahra de gaya
sha'iri 'baqi' mere zaKHmon ka marham ban gai
mera qatil mujh ko lafzon ka sahaara de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.