ada jo aae wo be-aib-o-be-qusur aae
adā jo aa.e vo be-'aib-o-be-qusūr aa.e
ḳhudā vo din na kare aap ko ġhurūr aa.e
hazār sajde kare raat raat bhar zāhid
jo dil hī saaf na ho kyā jabīñ pe nuur aa.e
zamāne tak tirī galiyoñ kī ḳhaak chhānī hai
mirī nigāh meñ kyā jalva-gāh-e-tūr aa.e
nazar hī apnī na ab dil hī rah gayā apnā
sazā milī hai ki ham kyuuñ tire huzūr aa.e
mirī taraf se bhī ai kārvān-e-shauq salām
kahīñ jo rāh-e-talab meñ maqām-e-tūr aa.e
hazār baar likhe tū niyāz-nāma-e-shauq
tire bulā.e 'jigar' aa.e vo zarūr aa.e
ada jo aae wo be-'aib-o-be-qusur aae
KHuda wo din na kare aap ko ghurur aae
hazar sajde kare raat raat bhar zahid
jo dil hi saf na ho kya jabin pe nur aae
zamane tak teri galiyon ki KHak chhani hai
meri nigah mein kya jalwa-gah-e-tur aae
nazar hi apni na ab dil hi rah gaya apna
saza mili hai ki hum kyun tere huzur aae
meri taraf se bhi ai karwan-e-shauq salam
kahin jo rah-e-talab mein maqam-e-tur aae
hazar bar likhe tu niyaz-nama-e-shauq
tere bulae 'jigar' aae wo zarur aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.