Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya

Hafeez Banarasi

ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya

Hafeez Banarasi

ye hādsa bhī shahr-e-nigārāñ meñ ho gayā

be-chehragī bhiiḌ meñ har chehra kho gayā

jis ko sazā milī thī ki jaage tamām umr

suntā huuñ aaj maut bāñhoñ meñ so gayā

harkat kisī meñ hai na harārat kisī meñ hai

kyā shahr thā jo barf chaTTān ho gayā

maiñ us ko nafratoñ ke sivā kuchh na de sakā

vo chāhatoñ biij mire dil meñ bo gayā

marham to rakh sakā na koī mere zaḳhm par

jo aayā ek nishtar-e-tāza chubho gayā

kījiye qubūl ki har chehra zard hai

kahiye har nigāh ko yarqān ho gayā

maiñ ne to apne ġham kahānī sunā.ī thī

kyuuñ apne apne ġham meñ har ik shaḳhs kho gayā

us dushman-e-vafā ko duā de rahā huuñ maiñ

merā na ho sakā vo kisī to ho gayā

ik māh-vash ne chuum peshāni-e-'hafīz'

dilchasp hādsa thā jo kal raat ho gayā

ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya

be-chehragi ki bhiD mein har chehra kho gaya

jis ko saza mili thi ki jage tamam umr

sunta hun aaj maut ki banhon mein so gaya

harkat kisi mein hai na hararat kisi mein hai

kya shahr tha jo barf ki chaTTan ho gaya

main us ko nafraton ke siwa kuchh na de saka

wo chahaton ka bij mere dil mein bo gaya

marham to rakh saka na koi mere zaKHm par

jo aaya ek nishtar-e-taza chubho gaya

ya kijiye qubul ki har chehra zard hai

ya kahiye har nigah ko yarqan ho gaya

main ne to apne gham ki kahani sunai thi

kyun apne apne gham mein har ek shaKHs kho gaya

us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main

mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya

ek mah-wash ne chum li peshani-e-'hafiz'

dilchasp hadsa tha jo kal raat ho gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now