Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai

Saleem Ahmed

baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai

Saleem Ahmed

baiThe haiñ sunahrī kashtī meñ aur sāmne niilā paanī hai

vo hañstī āñkheñ pūchhtī haiñ ye kitnā gahrā paanī hai

betāb havā ke jhoñkoñ fariyād sune to kaun sune

maujoñ pe taḌaptī kashtī hai aur gūñgā bahrā paanī hai

har mauj meñ giryāñ rahtā hai girdāb meñ raqsāñ rahtā hai

betāb bhī hai be-ḳhvāb bhī hai ye kaisā zinda paanī hai

bastī ke gharoñ ko kyā dekhe buniyād hurmat kyā jaane

sailāb shikva kaun kare sailāb to andhā paanī hai

is bastī meñ is dhartī par sairābī-e-jāñ haal na pūchh

yaañ āñkhoñ āñkhoñ aañsū haiñ aur dariyā dariyā paanī hai

ye raaz samajh meñ kab aatā āñkhoñ namī se samjhā huuñ

is gard-o-ġhubār duniyā meñ har chiiz se sachchā paanī hai

baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai

wo hansti aankhen puchhti hain ye kitna gahra pani hai

betab hawa ke jhonkon ki fariyaad sune to kaun sune

maujon pe taDapti kashti hai aur gunga bahra pani hai

har mauj mein giryan rahta hai girdab mein raqsan rahta hai

betab bhi hai be-KHwab bhi hai ye kaisa zinda pani hai

basti ke gharon ko kya dekhe buniyaad ki hurmat kya jaane

sailab ka shikwa kaun kare sailab to andha pani hai

is basti mein is dharti par sairabi-e-jaan ka haal na puchh

yan aankhon aankhon aansu hain aur dariya dariya pani hai

ye raaz samajh mein kab aata aankhon ki nami se samjha hun

is gard-o-ghubar ki duniya mein har chiz se sachcha pani hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now