khel sara hai yahan ruThi hui taqdir ka
khel saarā hai yahāñ rūThī huī taqdīr kā
maiñ nishāna ban gayā huuñ vaqt kī shamshīr kā
shahr ke logoñ ko kyā mā'lūm dukh fōtpath kā
ḳhaak meñ mil jā.egā ye dabdaba jāgīr kā
log patthar mārne aate haiñ pāgal jaan kar
shor jab kānoñ meñ gūñjā paaoñ kī zanjīr kā
chhīn lī hai gardish-e-daurāñ ne āñkhoñ kī chamak
rah gayā dhuñdlā sā ik ḳhāka mirī tasvīr kā
āstīnoñ meñ chhupā.e phir rahe haiñ sab yahāñ
tajraba ham ko huā hai vaqt kī shamshīr kā
chal diye 'rāshid' sū-e-maqtal udāsī oḌh kar
muntazir koī nahīñ ab ḳhvāb kī tā'bīr kā
khel sara hai yahan ruThi hui taqdir ka
main nishana ban gaya hun waqt ki shamshir ka
shahr ke logon ko kya ma'lum dukh footpath ka
KHak mein mil jaega ye dabdaba jagir ka
log patthar marne aate hain pagal jaan kar
shor jab kanon mein gunja paon ki zanjir ka
chhin li hai gardish-e-dauran ne aankhon ki chamak
rah gaya dhundla sa ek KHaka meri taswir ka
aastinon mein chhupae phir rahe hain sab yahan
tajraba hum ko hua hai waqt ki shamshir ka
chal diye 'rashid' su-e-maqtal udasi oDh kar
muntazir koi nahin ab KHwab ki ta'bir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.