Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko sach sach bata bharam rahega

Muhammad Asad Ali Warraich

mujhko sach sach bata bharam rahega

Muhammad Asad Ali Warraich

MORE BYMuhammad Asad Ali Warraich

    mujh ko sach sach batā bharam rahegā

    jhūTī qasmeñ na khā bharam rahegā

    zindagī se milegī rusvā.ī

    ḳhud-kushī se mirā bharam rahegā

    bārhā maiñ ne ik shajar se kahā

    apnā saaya baḌhā bharam rahegā

    jab talak tere hāfize meñ huuñ

    haath meñ haath kā bharam rahegā

    camera man ne kahā thā mujhe

    apne aañsū chhupā bharam rahegā

    gar sahīfe jalā diye jaa.eñ

    peshvā kā bhī kyā bharam rahegā

    mujh ko sach sach bata bharam rahega

    jhuTi qasmen na kha bharam rahega

    zindagi se milegi ruswai

    KHud-kushi se mera bharam rahega

    barha main ne ek shajar se kaha

    apna saya baDha bharam rahega

    jab talak tere hafize mein hun

    hath mein hath ka bharam rahega

    camera man ne kaha tha mujhe

    apne aansu chhupa bharam rahega

    gar sahife jala diye jaen

    peshwa ka bhi kya bharam rahega

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now