husn ka ab koi waqar nahin
husn kā ab koī vaqār nahīñ
be-sabab 'ishq sog-vār nahīñ
hasrat-e-dīd kyā kare koī
lazzat-e-vasl pā.e-dār nahīñ
rang par apne tū na itrā gul
koī mausam sadā bahār nahīñ
mujh ko pahchāntā hai har patthar
kū-e-jānāñ hai regzār nahīñ
kyā sitam hai ki qais tanhā hai
aur sahrā bhī ġham-gusār nahīñ
hādsa hai ye bazm-e-ulfat meñ
ek bhī shaḳhs dil-figār nahīñ
mai-kade band kar diye jaa.eñ
chashm-e-mai-kash meñ ab ḳhumār nahīñ
garche paivand haiñ hazār magar
merī poshāk dāġh-dār nahīñ
merī ḳhāmoshiyoñ kī chīḳhoñ se
kis kā dil ab bhī ashk-bār nahīñ
baal kī khaal mat utaar 'akram'
koī bhī baat be-ġhubār nahīñ
husn ka ab koi waqar nahin
be-sabab 'ishq sog-war nahin
hasrat-e-did kya kare koi
lazzat-e-wasl pae-dar nahin
rang par apne tu na itra gul
koi mausam sada bahaar nahin
mujh ko pahchanta hai har patthar
ku-e-jaanan hai regzar nahin
kya sitam hai ki qais tanha hai
aur sahra bhi gham-gusar nahin
hadsa hai ye bazm-e-ulfat mein
ek bhi shaKHs dil-figar nahin
mai-kade band kar diye jaen
chashm-e-mai-kash mein ab KHumar nahin
garche paiwand hain hazar magar
meri poshak dagh-dar nahin
meri KHamoshiyon ki chiKHon se
kis ka dil ab bhi ashk-bar nahin
baal ki khaal mat utar 'akram'
koi bhi baat be-ghubar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.