Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lagte hain nit jo KHuban sharmane bawle hain

Mushafi Ghulam Hamdani

lagte hain nit jo KHuban sharmane bawle hain

Mushafi Ghulam Hamdani

lagte haiñ nit jo ḳhūbāñ sharmāne bāvle haiñ

ham log vahshī ḳhabtī dīvāne bāvle haiñ

ye sehr kyā kiyā hai bāloñ darhamī ne

jo us parī par apne begāne bāvle haiñ

jhoñktā hai koī ātish meñ nāhaq apnā

jalte haiñ sham.a par jo parvāne bāvle haiñ

ismat apnī us ko jab aaphī ġham na hove

lagte haiñ ham jo nāhaq ġham khāne bāvle haiñ

us mai ek qatra sūrāḳh-e-dil kare hai

bhar bhar jo ham piyeñ haiñ paimāne bāvle haiñ

gardish se putliyoñ sar-gashta hai zamāna

mastī se us nigah mai-ḳhāne bāvle haiñ

jaate haiñ us galī meñ laḌkoñ ko saath le kar

myaañ 'mus.hafī' bhī yaaro kyā syāne bāvle haiñ

lagte hain nit jo KHuban sharmane bawle hain

hum log wahshi KHabti diwane bawle hain

ye sehr kya kiya hai baalon ki darhami ne

jo us pari par apne begane bawle hain

ji jhonkta hai koi aatish mein nahaq apna

jalte hain shama par jo parwane bawle hain

ismat ka apni us ko jab aaphi gham na howe

lagte hain hum jo nahaq gham khane bawle hain

us mai ka ek qatra suraKH-e-dil kare hai

bhar bhar jo hum piyen hain paimane bawle hain

gardish se putliyon ki sar-gashta hai zamana

masti se us nigah ki mai-KHane bawle hain

jate hain us gali mein laDkon ko sath le kar

myan 'mushafi' bhi yaro kya syane bawle hain

Source :
  • Book : kulliyat-e-mas.hafii (Pg. 170)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now