ahl-e-himmat ke liye kaam bahut milte hain
ahl-e-himmat ke liye kaam bahut milte haiƱ
kaam ke saath magar naam bahut milte haiƱ
vahshat-e-dil kÄ mudÄvÄ to kahÄƱ hotÄ hai
įø³hÄk-e-ÄvÄra ko ilzÄm bahut milte haiƱ
'Älam-e-rÄz hai ab duur kÄ« duniyÄ lekin
koÄ« suntÄ ho to paiÄ”hÄm bahut milte haiƱ
marte marte na ho ehsÄs giraftÄrÄ« kÄ
aise aise bhÄ« yahÄƱ daam bahut milte haiƱ
kaash maqdÅ«r-e-itÄ'at bhÄ« usÄ« se miltÄ
jis kÄ« sarkÄr se ahkÄm bahut milte haiƱ
aage aage nahīƱ itnÄ bhÄ« bharosa 'haqqÄ«'
jiite jÄ« įø³hair se dushnÄm bahut milte haiƱ
ahl-e-himmat ke liye kaam bahut milte hain
kaam ke sath magar nam bahut milte hain
wahshat-e-dil ka mudawa to kahan hota hai
KHak-e-awara ko ilzam bahut milte hain
'alam-e-raaz hai ab dur ki duniya lekin
koi sunta ho to paigham bahut milte hain
marte marte na ho ehsas giraftari ka
aise aise bhi yahan dam bahut milte hain
kash maqdur-e-ita'at bhi usi se milta
jis ki sarkar se ahkaam bahut milte hain
aage aage nahin itna bhi bharosa 'haqqi'
jite ji KHair se dushnam bahut milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.