ye fikr chhoD ki kya kya fasana banta hai
ye fikr chhoḌ ki kyā kyā fasāna bantā hai
tū muskurā ki tirā muskurānā bantā hai
jamī haiñ os kī būñdeñ jo band khiḌkī par
to uñgliyoñ se vahāñ dil banānā bantā hai
tum ek shaam mire naam kar hī saktī ho
vafā kā itnā to ab mehnatāna bantā hai
sharāb chhoḌ dī ham ne tumhāre kahne par
tumhārā chaa.e pe ab to bulānā bantā hai
ye fikr chhoD ki kya kya fasana banta hai
tu muskura ki tera muskurana banta hai
jami hain os ki bunden jo band khiDki par
to ungliyon se wahan dil banana banta hai
tum ek sham mere nam kar hi sakti ho
wafa ka itna to ab mehnatana banta hai
sharab chhoD di hum ne tumhaare kahne par
tumhaara chae pe ab to bulana banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.