har kisi par yaqin nahin hota
har kisī par yaqīñ nahīñ hotā
har koī bhī amiiñ nahīñ hotā
chehra ik aadh koī hotā hai
shahr saarā hasīñ nahīñ hotā
tere virse meñ beTī kā bhī haq
beTā hī sirf ik nahīñ hotā
maanā hotī hai paas ik duniyā
dil ke har ik qarīñ nahīñ hotā
ḳhāndānī bhī log hote haiñ
har koī bhī kamīñ nahīñ hotā
ġham ko hañs ke hī sahnā paḌtā hai
kaun 'āsim' hazīñ nahīñ hotā
har kisi par yaqin nahin hota
har koi bhi amin nahin hota
chehra ek aadh koi hota hai
shahr sara hasin nahin hota
tere wirse mein beTi ka bhi haq
beTa hi sirf ek nahin hota
mana hoti hai pas ek duniya
dil ke har ek qarin nahin hota
KHandani bhi log hote hain
har koi bhi kamin nahin hota
gham ko hans ke hi sahna paDta hai
kaun 'asim' hazin nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.