ek muddat wada-e-farda pe Tahlaya gaya
ek muddat vā'da-e-fardā pe Tahlāyā gayā
aur phir ashk-e-nadāmat hī se nahlāyā gayā
aaj phir māyūs ho kar muzmahil thā dil bahut
aaj phir is dil ko ummīdoñ se bahlāyā gayā
pahle angusht-e-hinā.ī se tar-o-tāza kiyā
phir hamāre zaḳhm-e-dil ko ḳhuub sahlāyā gayā
varna merī zaat par kis ko majāl-e-tanz thī
mehrbānī aap kī maiñ jo bhī kahlāyā gayā
pahle bhī un ke 'atā-karda tahā.if kam na the
phir naved-e-hijr de kar dil ko dahlāyā gayā
muflis-o-nādār saare shaad haiñ 'az.har' magar
ahl-e-sarvat kā kisī se dil na bahlāyā gayā
ek muddat wa'da-e-farda pe Tahlaya gaya
aur phir ashk-e-nadamat hi se nahlaya gaya
aaj phir mayus ho kar muzmahil tha dil bahut
aaj phir is dil ko ummidon se bahlaya gaya
pahle angusht-e-hinai se tar-o-taza kiya
phir hamare zaKHm-e-dil ko KHub sahlaya gaya
warna meri zat par kis ko majal-e-tanz thi
mehrbani aap ki main jo bhi kahlaya gaya
pahle bhi un ke 'ata-karda tahaif kam na the
phir nawed-e-hijr de kar dil ko dahlaya gaya
muflis-o-nadar sare shad hain 'azhar' magar
ahl-e-sarwat ka kisi se dil na bahlaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.