Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sad-shukr dard-e-hijr ko itna to kam kiya

Amber Haider

sad-shukr dard-e-hijr ko itna to kam kiya

Amber Haider

MORE BYAmber Haider

    sad-shukr dard-e-hijr ko itnā to kam kiyā

    us ne mire vujūd pe āñkhoñ se dam kiyā

    dil yuuñ mile ki pyaar kā ik baab khul gayā

    dhaḌkan se us ne qurb kā lamha raqam kiyā

    sāñseñ milī haiñ biich meñ kuchh fāsla nahīñ

    kuchh is tarah se us ne diloñ ko baham kiyā

    us ne rakhī jo laaj mire e'tibār kī

    maiñ ne bhī us ke pyaar ko apnā bharam kiyā

    us ne dikhā diyā hai mohabbat kā rāsta

    maiñ ne bhī us kā rāsta naqsh-e-qadam kiyā

    sāñsoñ meñ bas ga.ī hai mohabbat bharī ġhazal

    itne hasīn lahje meñ chāhat ne ram kiyā

    'ambar' jabīñ pe phuul sā bosa milā mujhe

    maiñ ne bhī us ke pyaar meñ palkoñ ko ḳham kiyā

    sad-shukr dard-e-hijr ko itna to kam kiya

    us ne mere wujud pe aankhon se dam kiya

    dil yun mile ki pyar ka ek bab khul gaya

    dhaDkan se us ne qurb ka lamha raqam kiya

    sansen mili hain bich mein kuchh fasla nahin

    kuchh is tarah se us ne dilon ko baham kiya

    us ne rakhi jo laj mere e'tibar ki

    main ne bhi us ke pyar ko apna bharam kiya

    us ne dikha diya hai mohabbat ka rasta

    main ne bhi us ka rasta naqsh-e-qadam kiya

    sanson mein bas gai hai mohabbat bhari ghazal

    itne hasin lahje mein chahat ne ram kiya

    'ambar' jabin pe phul sa bosa mila mujhe

    main ne bhi us ke pyar mein palkon ko KHam kiya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now