ek mohabbat mein giraftar hain hum bhi tum bhi
ik mohabbat meñ giraftār haiñ ham bhī tum bhī
ek duuje ke talab-gār haiñ ham bhī tum bhī
dil ke sahrā meñ liye phirte haiñ yādoñ ke charāġh
ek hī ġham ke parastār haiñ ham bhī tum bhī
vaqt ne laakh hameñ apnī taraf khīñchā magar
'ishq ke dar ke vafā-dār haiñ ham bhī tum bhī
fāsloñ se na ghaTī dil kī harārat koī
ek jazbe ke taraf-dār haiñ ham bhī tum bhī
log samjheñ ki na samjheñ ye ta'alluq apnā
ek ḳhāmoshī ke iz.hār haiñ ham bhī tum bhī
'umr guzrī hai isī chaah maiñ bechain magar
ek ummīd ke bīmār haiñ ham bhī tum bhī
dard āñkhoñ meñ chhupā lete haiñ 'ambar' apnā
aisā lagtā hai adākār haiñ ham bhī tum bhī
ek mohabbat mein giraftar hain hum bhi tum bhi
ek duje ke talab-gar hain hum bhi tum bhi
dil ke sahra mein liye phirte hain yaadon ke charagh
ek hi gham ke parastar hain hum bhi tum bhi
waqt ne lakh hamein apni taraf khincha magar
'ishq ke dar ke wafa-dar hain hum bhi tum bhi
faslon se na ghaTi dil ki hararat koi
ek jazbe ke taraf-dar hain hum bhi tum bhi
log samjhen ki na samjhen ye ta'alluq apna
ek KHamoshi ke izhaar hain hum bhi tum bhi
'umr guzri hai isi chah main bechain magar
ek ummid ke bimar hain hum bhi tum bhi
dard aankhon mein chhupa lete hain 'ambar' apna
aisa lagta hai adakar hain hum bhi tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.