hua yun ki raat Dhali nahin mere baam-e-dil pe utar gai
hua yun ki raat Dhali nahin mere baam-e-dil pe utar gai
Manisha Srivastav Kuasar
MORE BYManisha Srivastav Kuasar
huā yuuñ ki raat Dhalī nahīñ mire bām-e-dil pe utar ga.ī
ruḳh-e-māhtāb kī aas meñ yuuñ hī baiThe baiThe guzar ga.ī
tire bāzuoñ pe Dhalī huī mire zer-e-lab thī rukī huī
vo jo ḳhvāb ḳhvāb sī raat thī use chhū ke yaad guzar ga.ī
tire dil ke daaġh tire nahīñ ye mirī amānat-e-zīst haiñ
ye rukī rukī sī hañsī tirī mire dasht-e-dil meñ bikhar ga.ī
tumheñ mujh se koī gila nahīñ mirī 'ādatoñ se ḳhafā nahīñ
kabhī DāñTnā kabhī rūThnā vo adā tumhārī kidhar ga.ī
hai nayā safar na.ī manzileñ mire yaar raah dikhā mujhe
ye siyāh raat kī tīrgī tirī ik nazar se sañvar ga.ī
kabhī bārishoñ meñ dhulī huī kabhī bādaloñ meñ ghulī huī
tirī chashm-e-tar mirī saañs meñ koī aah ban ke Thahar ga.ī
hua yun ki raat Dhali nahin mere baam-e-dil pe utar gai
ruKH-e-mahtab ki aas mein yun hi baiThe baiThe guzar gai
tere bazuon pe Dhali hui mere zer-e-lab thi ruki hui
wo jo KHwab KHwab si raat thi use chhu ke yaad guzar gai
tere dil ke dagh tere nahin ye meri amanat-e-zist hain
ye ruki ruki si hansi teri mere dasht-e-dil mein bikhar gai
tumhein mujh se koi gila nahin meri 'adaton se KHafa nahin
kabhi DanTna kabhi ruThna wo ada tumhaari kidhar gai
hai naya safar nai manzilen mere yar rah dikha mujhe
ye siyah raat ki tirgi teri ek nazar se sanwar gai
kabhi barishon mein dhuli hui kabhi baadalon mein ghuli hui
teri chashm-e-tar meri sans mein koi aah ban ke Thahar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.