aashiqi mein ehtiyaton mein ulajh kar rah gaya
'āshiqī meñ ehtiyātoñ meñ ulajh kar rah gayā
maiñ bhī kaisī kaisī bātoñ meñ ulajh kar rah gayā
yaad kī bārish thī yā rut thī firāq-o-vasl kī
dil 'ajab mausam kī rātoñ meñ ulajh kar rah gayā
dil mirā āzād aur ḳhvāhish mirī zanjīr-e-pā
maiñ tamannā kī bisātoñ meñ ulajh kar rah gayā
kaun hogā ab giraftār-e-ḳham-e-zulf-e-ayāz
ġhaznavī to somnātoñ meñ ulajh kar rah gayā
'ashiqi mein ehtiyaton mein ulajh kar rah gaya
main bhi kaisi kaisi baaton mein ulajh kar rah gaya
yaad ki barish thi ya rut thi firaq-o-wasl ki
dil 'ajab mausam ki raaton mein ulajh kar rah gaya
dil mera aazad aur KHwahish meri zanjir-e-pa
main tamanna ki bisaton mein ulajh kar rah gaya
kaun hoga ab giraftar-e-KHam-e-zulf-e-ayaz
ghaznawi to somnaton mein ulajh kar rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.