Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain

Sabir Zafar

nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain

Sabir Zafar

Interesting Fact

written in response to one of Nasir kazmi's ghazals ''nae kapDe badal kar jaauun kahaan aur baal banaauun kis ke liye"

na.e kapḌe badal aur baal banā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

koī chhoḌ gayā ye shahr to kyā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

ka.ī palkeñ haiñ aur peḌ ka.ī mahfūz hai ThanDak jin abhī

kahīñ duur na mat ḳhaak uḌā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

kahtī hai ye shaam narm havā phir mahkegī is ghar fazā

nayā kamra sajā na.ī sham.a jalā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

ka.ī phūloñ jaise log bhī haiñ inhī aise-vaise logoñ meñ

ġhairoñ ke mat naaz uThā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

bechain hai kyuuñ ai 'nāsir' behāl hai kis ḳhātir

palkeñ to uThā chehra to dikhā tire chāhne vaale aur bhī haiñ

nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain

koi chhoD gaya ye shahr to kya tere chahne wale aur bhi hain

kai palken hain aur peD kai mahfuz hai ThanDak jin ki abhi

kahin dur na ja mat KHak uDa tere chahne wale aur bhi hain

kahti hai ye sham ki narm hawa phir mahkegi is ghar ki faza

naya kamra saja nai shama jala tere chahne wale aur bhi hain

kai phulon jaise log bhi hain inhi aise-waise logon mein

tu ghairon ke mat naz uTha tere chahne wale aur bhi hain

bechain hai kyun ai 'nasir' tu behaal hai kis ki KHatir tu

palken to uTha chehra to dikha tere chahne wale aur bhi hain

Source :
  • Book : Mazhab e Ishq (Pg. 383)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now