Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi silsile mein ghazal kahun ki main ishq hun ki main ishq hun

Ammar Iqbal

isi silsile mein ghazal kahun ki main ishq hun ki main ishq hun

Ammar Iqbal

isī silsile meñ ġhazal kahūñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

yahī bāzgasht sunā karūñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

kahīñ fareb thā nahīñ mujhe kyā patā mujhe batā

maiñ kahāñ kahāñ pe subūt duuñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

mujhe dekh dekh jalā kare vo diye lau mirā kyā kare

vo to aag hai use kyā kahūñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

vahī be-zarar vahī be-navā usī ek dar pe paḌā huā

na maiñ Tal sakūñ na maiñ pal sakūñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

mujhe kyā naved visāl mujhe kyā ḳhabar tire haal

mujhe kab nasīb huā sakūñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

nahīñ koī mujh meñ kasar nahīñ nahīñ koī mujh meñ kamī nahīñ

nahīñ ban sakī mirī baat yuuñ ki maiñ 'ishq huuñ ki maiñ 'ishq huuñ

isi silsile mein ghazal kahun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

yahi bazgasht suna karun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

tu kahin fareb tha ya nahin mujhe kya pata tu mujhe bata

main kahan kahan pe subut dun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

mujhe dekh dekh jala kare wo diye ki lau mera kya kare

wo to aag hai use kya kahun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

wahi be-zarar wahi be-nawa usi ek dar pe paDa hua

na main Tal sakun na main pal sakun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

mujhe kya nawed visal ki mujhe kya KHabar tere haal ki

mujhe kab nasib hua sakun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

nahin koi mujh mein kasar nahin nahin koi mujh mein kami nahin

nahin ban saki meri baat yun ki main 'ishq hun ki main 'ishq hun

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now