konplen phir phuT aain shaKH par kahna use
koñpleñ phir phuuT aa.iiñ shāḳh par kahnā use
vo na samjhā hai na samjhegā magar kahnā use
vaqt kā tūfān har ik shai bahā kar le gayā
kitnī tanhā ho ga.ī hai rah-guzar kahnā use
sar-bulandī kī qasam khāte the jis kī do jahāñ
jhuk gayā hai aaj vo maġhrūr sar kahnā use
raah meñ terī ghaḌī bhar kī rafāqat ke liye
jal rahā hai dhuup meñ pāgal shajar kahnā use
jagmagā uTThe the terī zulf ke saa.e se jo
muntazir haiñ aaj phir vo bām-o-dar kahnā use
ris rahā ho ḳhuun dil se lab magar hañste rahe
kar gayā barbād mujh ko ye hunar kahnā use
ham-safar kī raah meñ tanhā safar karte hue
aa gayā hai ḳhatm hone ko safar kahnā use
taal par vahshat kī hoñ vīrāniyāñ raqsāñ jahāñ
muuñd kar 'shahzād' āñkheñ merā ghar kahnā use
jis ne zaḳhmoñ se mirā 'shahzād' siina bhar diyā
muskurā kar aaj pyāre chāra-gar kahnā use
konplen phir phuT aain shaKH par kahna use
wo na samjha hai na samjhega magar kahna use
waqt ka tufan har ek shai baha kar le gaya
kitni tanha ho gai hai rah-guzar kahna use
sar-bulandi ki qasam khate the jis ki do jahan
jhuk gaya hai aaj wo maghrur sar kahna use
rah mein teri ghaDi bhar ki rafaqat ke liye
jal raha hai dhup mein pagal shajar kahna use
jagmaga uTThe the teri zulf ke sae se jo
muntazir hain aaj phir wo baam-o-dar kahna use
ris raha ho KHun dil se lab magar hanste rahe
kar gaya barbaad mujh ko ye hunar kahna use
ham-safar ki rah mein tanha safar karte hue
aa gaya hai KHatm hone ko safar kahna use
tal par wahshat ki hon viraniyan raqsan jahan
mund kar 'shahzad' aankhen mera ghar kahna use
jis ne zaKHmon se mera 'shahzad' sina bhar diya
muskura kar aaj pyare chaara-gar kahna use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.