Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun

Hafeez Jalandhari

un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun

Hafeez Jalandhari

un ko jigar justujū un nazar ko kyā karūñ

mujh ko nazar aarzū apne jigar ko kyā karūñ

raat raat meñ tamām tai hue umr ke maqām

ho ga.ī zindagī shaam ab maiñ sahar ko kyā karūñ

vahshat-e-dil fuzūñ to hai haal mirā zubūñ to hai

ishq nahīñ junūñ to hai us ke asar ko kyā karūñ

farsh se mutma.in nahīñ past hai nā-pasand hai

arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kyā karūñ

haa.e koī davā karo haa.e koī duā karo

haa.e jigar meñ dard hai haa.e jigar ko kyā karūñ

ahl-e-nazar koī nahīñ is liye ḳhud-pasand huuñ

aap dekhtā huuñ maiñ apne hunar ko kyā karūñ

tark-e-ta.alluqāt par gir ga.ī barq-e-iltifāt

rāhguzar meñ mil ga.e rāhguzar ko kyā karūñ

un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kya karun

mujh ko nazar ki aarzu apne jigar ko kya karun

raat hi raat mein tamam tai hue umr ke maqam

ho gai zindagi ki sham ab main sahar ko kya karun

wahshat-e-dil fuzun to hai haal mera zubun to hai

ishq nahin junun to hai us ke asar ko kya karun

farsh se mutmain nahin past hai na-pasand hai

arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kya karun

hae koi dawa karo hae koi dua karo

hae jigar mein dard hai hae jigar ko kya karun

ahl-e-nazar koi nahin is liye KHud-pasand hun

aap hi dekhta hun main apne hunar ko kya karun

tark-e-talluqat par gir gai barq-e-iltifat

rahguzar mein mil gae rahguzar ko kya karun

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 410)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now