Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga

Jigar Moradabadi

tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga

Jigar Moradabadi

tujhī se ibtidā hai ik din intihā hogā

sadā-e-sāz hogī aur na sāz-e-be-sadā hogā

hameñ ma.alūm hai ham se suno mahshar meñ kyā hogā

sab us ko dekhte hoñge vo ham ko dekhtā hogā

sar-e-mahshar ham aise āsiyoñ aur kyā hogā

dar-e-jannat na hogā dar-e-rahmat to hogā

jahannam ho ki jannat jo bhī hogā faisla hogā

ye kyā kam hai hamārā aur un sāmnā hogā

azal ho abad donoñ asīr-e-zulf-e-hazrat haiñ

jidhar nazreñ uThāoge yahī ik silsilā hogā

ye nisbat ishq be-rañg laa.e rah nahīñ saktī

jo mahbūb-e-ḳhudā hai vo mahbūb-e-ḳhudā hogā

isī ummīd par ham tālibān-e-dard jiite haiñ

ḳhoshā dard de ki terā aur dard-e-lā-davā hogā

nigāh-e-qahr par bhī jān-o-dil sab kho.e baiThā hai

nigāh-e-mehr āshiq par agar hogī to kyā hogā

siyānā bhej degā ham ko mahshar se jahannam meñ

magar jo dil pe guzregī vo dil jāntā hogā

samajhtā kyā hai dīvāngān-e-ishq ko zāhid

ye ho jā.eñge jis jānib usī jānib ḳhudā hogā

'jigar' haath hogā hashr meñ aur dāman-e-hazrat

shikāyat ho ki shikva jo bhī hogā barmalā hogā

tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga

sada-e-saz hogi aur na saz-e-be-sada hoga

hamein malum hai hum se suno mahshar mein kya hoga

sab us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga

sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga

dar-e-jannat na wa hoga dar-e-rahmat to wa hoga

jahannam ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga

ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga

azal ho ya abad donon asir-e-zulf-e-hazrat hain

jidhar nazren uThaoge yahi ek silsila hoga

ye nisbat ishq ki be-rang lae rah nahin sakti

jo mahbub-e-KHuda ka hai wo mahbub-e-KHuda hoga

isi ummid par hum taliban-e-dard jite hain

KHosha dard de ki tera aur dard-e-la-dawa hoga

nigah-e-qahr par bhi jaan-o-dil sab khoe baiTha hai

nigah-e-mehr aashiq par agar hogi to kya hoga

siyana bhej dega hum ko mahshar se jahannam mein

magar jo dil pe guzregi wo dil hi jaanta hoga

samajhta kya hai tu diwangan-e-ishq ko zahid

ye ho jaenge jis jaanib usi jaanib KHuda hoga

'jigar' ka hath hoga hashr mein aur daman-e-hazrat

shikayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now