tere milne ko bekal ho gae hain
tire milne ko bekal ho ga.e haiñ
magar ye log pāgal ho ga.e haiñ
bahāreñ le ke aa.e the jahāñ tum
vo ghar sunsān jañgal ho ga.e haiñ
yahāñ tak baḌh ga.e ālām-e-hastī
ki dil ke hausle shal ho ga.e haiñ
kahāñ tak taab laa.e nā-tavāñ dil
ki sadme ab musalsal ho ga.e haiñ
nigāh-e-yās ko niiñd aa rahī hai
mizha par ashk bojhal ho ga.e haiñ
unheñ sadiyoñ na bhūlegā zamāna
yahāñ jo hādse kal ho ga.e haiñ
jinheñ ham dekh kar jiite the 'nāsir'
vo log āñkhoñ se ojhal ho ga.e haiñ
tere milne ko bekal ho gae hain
magar ye log pagal ho gae hain
bahaaren le ke aae the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gae hain
yahan tak baDh gae aalam-e-hasti
ki dil ke hausle shal ho gae hain
kahan tak tab lae na-tawan dil
ki sadme ab musalsal ho gae hain
nigah-e-yas ko nind aa rahi hai
mizha par ashk bojhal ho gae hain
unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadse kal ho gae hain
jinhen hum dekh kar jite the 'nasir'
wo log aankhon se ojhal ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.