ThanDi ThanDi narm hawa ka jhonka pichhe chhuT gaya
ThanDī ThanDī narm havā kā jhoñkā pīchhe chhūT gayā
jaane kis vahshat meñ ghar kā rasta pīchhe chhūT gayā
bachche merī uñglī thāme dhīre dhīre chalte the
phir vo aage dauḌ ga.e maiñ tanhā pīchhe chhūT gayā
ahd-e-javānī ro ro kaaTā 'mīr'-miyāñ sā haal huā
lekin un ke aage apnā qissa pīchhe chhūT gayā
pīchhe muḌ kar dekhegā to aage baḌhnā mushkil hai
maiñ ne kitnī baar kahā thā dekhā? pīchhe chhūT gayā
sar-tā-pā sailāb the 'ḳhālid' chāroñ jānib dariyā thā
pyaas meñ jis din shiddat aa.ī dariyā pīchhe chhūT gayā
ThanDi ThanDi narm hawa ka jhonka pichhe chhuT gaya
jaane kis wahshat mein ghar ka rasta pichhe chhuT gaya
bachche meri ungli thame dhire dhire chalte the
phir wo aage dauD gae main tanha pichhe chhuT gaya
ahd-e-jawani ro ro kaTa 'mir'-miyan sa haal hua
lekin un ke aage apna qissa pichhe chhuT gaya
pichhe muD kar dekhega to aage baDhna mushkil hai
main ne kitni bar kaha tha dekha? pichhe chhuT gaya
sar-ta-pa sailab the 'KHalid' chaaron jaanib dariya tha
pyas mein jis din shiddat aai dariya pichhe chhuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.