Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the

Majeed Amjad

phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    phir to sab hamdard bahut afsos ke saath ye kahte the

    ḳhud laḌe bhañvar se kyuuñ zahmat ham jo baiThe the

    diloñ ke ilmoñ se vo ujālā thā har chehra kaalā thā

    yuuñ to kisī ne apne bhed kisī ko nahīñ batā.e the

    māthe jab sajdoñ se uThe to safoñ safoñ jo farishte the

    sab is shahr ke the aur ham in sab ke jānñe vaale the

    ahl-e-huzūr baat na pūchho kabhī kabhī un ke din bhī

    soz-e-safā ik safrāvī uktāhaT meñ kaTte the

    qālīnoñ par baiTh ke azmat vaale sog meñ jab ro.e

    dīmak lage zamīr is izzat-e-ġham par kyā itrā.e the

    jin jiibh ke kunDal meñ thā nīsh-e-aqrab paivand

    likkhā hai un bad-suḳhanoñ qaum pe azhdar barse the

    jin ke lahū se nikhar rahī haiñ ye sarsabz hameshgiyāñ

    azloñ se vo sādiq jazboñ tayyab rizqoñ vaale the

    phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the

    KHud hi laDe bhanwar se kyun zahmat ki hum jo baiThe the

    dilon ke ilmon se wo ujala tha har chehra kala tha

    yun to kisi ne apne bhed kisi ko nahin batae the

    mathe jab sajdon se uThe to safon safon jo farishte the

    sab is shahr ke the aur hum in sab ke jaanne wale the

    ahl-e-huzur ki baat na puchho kabhi kabhi un ke din bhi

    soz-e-safa ki ek safrawi uktahaT mein kaTte the

    qalinon par baiTh ke azmat wale sog mein jab roe

    dimak lage zamir is izzat-e-gham par kya itrae the

    jin ki jibh ke kunDal mein tha nish-e-aqrab ka paiwand

    likkha hai un bad-suKHanon ki qaum pe azhdar barse the

    jin ke lahu se nikhar rahi hain ye sarsabz hameshgiyan

    azlon se wo sadiq jazbon tayyab rizqon wale the

    Source :
    • Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 715)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now