hai aaj-kal mera wijdan sufiyon ki tarah
hai āj-kal mirā vijdān sūfiyoñ kī tarah
aur is pe hai mujhe īmān sūfiyoñ kī tarah
banā liyā hai jo ik dost ko ḳhudā tū ne
kar us ḳhudā kā bhī e'lān sūfiyoñ kī tarah
bichhaḌ rahā huuñ magar muztarib nahīñ huuñ maiñ
nikal rahī hai mirī jaan sūfiyoñ kī tarah
falāsafa kī tarah mat ulajh mabāhis meñ
jo mānñā hai use maan sūfiyoñ kī tarah
ulajh ke kār-e-jahāñ meñ bhī tujh se duur nahīñ
kiyā huā hai tirā dhyān sūfiyoñ kī tarah
hai aaj-kal mera wijdan sufiyon ki tarah
aur is pe hai mujhe iman sufiyon ki tarah
bana liya hai jo ek dost ko KHuda tu ne
kar us KHuda ka bhi e'lan sufiyon ki tarah
bichhaD raha hun magar muztarib nahin hun main
nikal rahi hai meri jaan sufiyon ki tarah
falasafa ki tarah mat ulajh mabahis mein
jo manna hai use man sufiyon ki tarah
ulajh ke kar-e-jahan mein bhi tujh se dur nahin
kiya hua hai tera dhyan sufiyon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.