tu hamein jab kabhi yaad aae
tū hameñ jab kabhī yaad aa.e
piit kī chāñdnī yaad aa.e
bhūlnā chāhā ek āshnā ko
saiñkaḌoñ ajnabī yaad aa.e
pyaar zanjīr-e-jāñ ban gayā hai
dard kī har kaḌī yaad aa.e
dekh aa.e haiñ sab kū-e-qātil
ab kise zindagī yaad aa.e
kyā huiiñ jugnuoñ sī vo āñkheñ
raat barsāt kī yaad aa.e
zikr jab koī chheḌe chaman kā
pankhuḌī pankhuḌī yaad aa.e
shām-e-ġhurbat kā ye ghup añdherā
shakl vo chāñd sī yaad aa.e
jab karūñ maiñ zamāne kā shikva
bhuul apnī koī yaad aa.e
dekh kar mūslā-dhār bārish
apnī tishna-labī yaad aa.e
ġham to bichhḌe huoñ kā hai lekin
ik nayā shaḳhs bhī yaad aa.e
thā 'qatīl' āḳhrī dost apnā
vo bhalā aadmī yaad aa.e
tu hamein jab kabhi yaad aae
pit ki chandni yaad aae
bhulna chaha ek aashna ko
sainkaDon ajnabi yaad aae
pyar zanjir-e-jaan ban gaya hai
dard ki har kaDi yaad aae
dekh aae hain sab ku-e-qatil
ab kise zindagi yaad aae
kya huin jugnuon si wo aankhen
raat barsat ki yaad aae
zikr jab koi chheDe chaman ka
pankhuDi pankhuDi yaad aae
sham-e-ghurbat ka ye ghup andhera
shakl wo chand si yaad aae
jab karun main zamane ka shikwa
bhul apni koi yaad aae
dekh kar musla-dhaar barish
apni tishna-labi yaad aae
gham to bichhDe huon ka hai lekin
ek naya shaKHs bhi yaad aae
tha 'qatil' aaKHri dost apna
wo bhala aadmi yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.