phir maujzan hue hain samundar sarab mein
phir maujzan hue haiñ samundar sarāb meñ
ab saa.e ko talāsh karo āftāb meñ
āñkheñ khulīñ to jaag uThīñ hasrateñ tamām
us ko bhī kho diyā jise paayā thā ḳhvāb meñ
maiñ ne kiye the dasht-e-talab se ka.ī savāl
apnī sadā hī lauT ke aa.ī javāb meñ
baaqī varaq kitāb ke saada haiñ sab ke sab
sab kuchh likhā huā hai tamannā ke baab meñ
dariyā-e-dil se mujh ko ta'alluq hai is qadar
tinkā huuñ aur tiir rahā huuñ sharāb meñ
biite dinoñ kī yaad mire āñsuoñ meñ hai
yā'nī chamak rahe haiñ sitāre sahāb meñ
maiñ reza reza ho ke abhī kyuuñ bikhar na jā.ūñ
mumkin hai phir havā na rahe pech-o-tāb meñ
jannat se kyuuñ zamīñ pe girāyā gayā thā maiñ
ab mere saath hai ye zamīñ bhī 'azāb meñ
vo kaun thā milā thā kahāñ yaad kuchh nahīñ
tasvīr us kī dekh rahā huuñ gulāb meñ
sab dam-ba-ḳhud haiñ kaun magar faisla kare
naġhma hai uñgliyoñ meñ ki tār-e-rabāb meñ
'shahzād' bastiyāñ to huiiñ kab se be-sadā
kuchh harf haiñ ki bol rahe haiñ kitāb meñ
phir maujzan hue hain samundar sarab mein
ab sae ko talash karo aaftab mein
aankhen khulin to jag uThin hasraten tamam
us ko bhi kho diya jise paya tha KHwab mein
main ne kiye the dasht-e-talab se kai sawal
apni sada hi lauT ke aai jawab mein
baqi waraq kitab ke sada hain sab ke sab
sab kuchh likha hua hai tamanna ke bab mein
dariya-e-dil se mujh ko ta'alluq hai is qadar
tinka hun aur tir raha hun sharab mein
bite dinon ki yaad mere aansuon mein hai
ya'ni chamak rahe hain sitare sahab mein
main reza reza ho ke abhi kyun bikhar na jaun
mumkin hai phir hawa na rahe pech-o-tab mein
jannat se kyun zamin pe giraya gaya tha main
ab mere sath hai ye zamin bhi 'azab mein
wo kaun tha mila tha kahan yaad kuchh nahin
taswir us ki dekh raha hun gulab mein
sab dam-ba-KHud hain kaun magar faisla kare
naghma hai ungliyon mein ki tar-e-rabab mein
'shahzad' bastiyan to huin kab se be-sada
kuchh harf hain ki bol rahe hain kitab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.