Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na KHandani riwayaton ke na kuchh mahaarat ke baad aaya

Meena Khan

na KHandani riwayaton ke na kuchh mahaarat ke baad aaya

Meena Khan

MORE BYMeena Khan

    na ḳhāndānī rivāyatoñ ke na kuchh mahārat ke baa'd aayā

    salīqa jiine kā mujh ko hamdam tirī mohabbat ke baa'd aayā

    tumheñ ye hairat hai apne ġham ko chhupā ke kaise maiñ hañs rahī huuñ

    mirī tabī'at meñ ye tahammul baḌī riyāzat ke baa'd aayā

    ye mutma.in dil ye narm lahja shaguftagī aur yaqīñ ḳhudā par

    jo sach kahūñ to ye sab tavāzun tirī 'ināyat ke baa'd aayā

    mire safar meñ jo mushkileñ thiiñ zamāna us se nahīñ hai vāqif

    jo dekhte ho nishān-e-manzil baḌī sa'ūbat ke baa'd aayā

    udāsiyoñ ke safar meñ kitne akele-pan ke 'azāb jhele

    ḳhushī kā lamha mujhe mayassar tirī rafāqat ke baa'd aayā

    ziyāda paane kī ḳhvāhishoñ ne mujhe hamesha malūl rakkhā

    sukūñ meñ rahne kā ye hunar to mujhe qanā'at ke baa'd aayā

    na KHandani riwayaton ke na kuchh mahaarat ke ba'd aaya

    saliqa jine ka mujh ko hamdam teri mohabbat ke ba'd aaya

    tumhein ye hairat hai apne gham ko chhupa ke kaise main hans rahi hun

    meri tabi'at mein ye tahammul baDi riyazat ke ba'd aaya

    ye mutmain dil ye narm lahja shaguftagi aur yaqin KHuda par

    jo sach kahun to ye sab tawazun teri 'inayat ke ba'd aaya

    mere safar mein jo mushkilen thin zamana us se nahin hai waqif

    jo dekhte ho nishan-e-manzil baDi sa'ubat ke ba'd aaya

    udasiyon ke safar mein kitne akele-pan ke 'azab jhele

    KHushi ka lamha mujhe mayassar teri rafaqat ke ba'd aaya

    ziyaada pane ki KHwahishon ne mujhe hamesha malul rakkha

    sukun mein rahne ka ye hunar to mujhe qana'at ke ba'd aaya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now