Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe jab tak tere didar ka mauqa nahin milta

Elma Hashmi

mujhe jab tak tere didar ka mauqa nahin milta

Elma Hashmi

MORE BYElma Hashmi

    mujhe jab tak tire dīdār kā mauqa' nahīñ miltā

    mire dil ko sukūñ kā ek bhī lamha nahīñ miltā

    qadam ruk jaate haiñ aksar mire dorāhe par goyā

    kabhī manzil nahīñ miltī kabhī rasta nahīñ miltā

    bahut afrād milte haiñ zamāne meñ magar jānāñ

    tumhāre baa'd koī bhī mujhe tum sā nahīñ miltā

    mirī qismat meñ kātib ne ḳhayānat hī likhī hai so

    mirī mehnat kā phal mujh ko kabhī puurā nahīñ miltā

    junūñ iḳhlās qurbānī muravvat aur bezārī

    mohabbat kar mohabbat se bhalā kyā kyā nahīñ miltā

    mujhe jab tak tere didar ka mauqa' nahin milta

    mere dil ko sukun ka ek bhi lamha nahin milta

    qadam ruk jate hain aksar mere dorahe par goya

    kabhi manzil nahin milti kabhi rasta nahin milta

    bahut afrad milte hain zamane mein magar jaanan

    tumhaare ba'd koi bhi mujhe tum sa nahin milta

    meri qismat mein katib ne KHayanat hi likhi hai so

    meri mehnat ka phal mujh ko kabhi pura nahin milta

    junun iKHlas qurbani murawwat aur bezari

    mohabbat kar mohabbat se bhala kya kya nahin milta

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now