ghazal ke saz uThao bahut udas hai raat
ġhazal ke saaz uThāo bahut udaas hai raat
navā-e-'mīr' sunāo bahut udaas hai raat
navā-e-'dard' meñ ik zindagī to hotī hai
navā-e-'dard' sunāo bahut udaas hai raat
udāsiyoñ ke jo ham-rāz-o-ham-nafas the kabhī
unheñ na dil se bhulāo bahut udaas hai raat
jo ho sake to idhar kī bhī raah bhuul paḌo
sanam-kade kī havāo bahut udaas hai raat
kaheñ na tum se to phir aur jā ke kis se kaheñ
siyāh zulf ke saayo bahut udaas hai raat
tumheñ qasam hai qasam nīm-vā nigāhoñ kī
mizha na aur jhukāo bahut udaas hai raat
paḌā hai sāya-e-ġham jab hayāt-e-insāñ par
vo dāstāñ bhī sunāo bahut udaas hai raat
abhī to zikr-e-sahar dosto hai duur kī baat
abhī to dekhte jaao bahut udaas hai raat
sunā hai pahle bhī aise meñ bujh ga.e haiñ charāġh
diloñ kī ḳhair manāo bahut udaas hai raat
diye raho yūñhī kuchh aur der haath meñ haath
abhī na paas se jaao bahut udaas hai raat
koī shumār bhī rakhtī haiñ zulmatoñ kī taheñ
batāo ġham kī ghaTāo bahut udaas hai raat
koī kaho ye ḳhayāloñ se aur ḳhvāboñ se
diloñ se duur na jaao bahut udaas hai raat
karo jo ġhaur to radd-o-qubūl yaksāñ haiñ
diloñ se niklī du'āo bahut udaas hai raat
yagāngī ho ki be-gāngī ho sab dhokā
suno sab apno parāyo bahut udaas hai raat
sameT lo ki baḌe kaam kī hai daulat-e-ġham
ise yūñhī na gañvāo bahut udaas hai raat
base hue haiñ kisī ke jo lams-e-rangīñ se
vo bistare na lagāo bahut udaas hai raat
isī khañDar meñ kahīñ kuchh diye haiñ TuuTe hue
inhīñ se kaam chalāo bahut udaas hai raat
tamaddunoñ ke vo din raat ho ga.ī jin kī
kuchh un ke haal batāo bahut udaas hai raat
liye hue haiñ jo biite ġhamoñ ke afsāne
vo zindagī hī bulāo bahut udaas hai raat
bharam nashāt-o-tarab ke na aur khul jaa.eñ
mai-o-ayāġh baḌhāo baḌī udaas hai raat
kabhī tumhāre yahāñ bhī huī hai raat aisī
muqaddaroñ ke ḳhudāo bahut udaas hai raat
do-ātisha na banā de ise navā-e-'firāq'
ye sāz-e-ġham na sunāo bahut udaas hai raat
ghazal ke saz uThao bahut udas hai raat
nawa-e-'mir' sunao bahut udas hai raat
nawa-e-'dard' mein ek zindagi to hoti hai
nawa-e-'dard' sunao bahut udas hai raat
udasiyon ke jo ham-raaz-o-ham-nafas the kabhi
unhen na dil se bhulao bahut udas hai raat
jo ho sake to idhar ki bhi rah bhul paDo
sanam-kade ki hawao bahut udas hai raat
kahen na tum se to phir aur ja ke kis se kahen
siyah zulf ke sayo bahut udas hai raat
tumhein qasam hai qasam nim-wa nigahon ki
mizha na aur jhukao bahut udas hai raat
paDa hai saya-e-gham jab hayat-e-insan par
wo dastan bhi sunao bahut udas hai raat
abhi to zikr-e-sahar dosto hai dur ki baat
abhi to dekhte jao bahut udas hai raat
suna hai pahle bhi aise mein bujh gae hain charagh
dilon ki KHair manao bahut udas hai raat
diye raho yunhi kuchh aur der hath mein hath
abhi na pas se jao bahut udas hai raat
koi shumar bhi rakhti hain zulmaton ki tahen
batao gham ki ghaTao bahut udas hai raat
koi kaho ye KHayalon se aur KHwabon se
dilon se dur na jao bahut udas hai raat
karo jo ghaur to radd-o-qubul yaksan hain
dilon se nikli du'ao bahut udas hai raat
yagangi ho ki be-gangi ho sab dhoka
suno sab apno parayo bahut udas hai raat
sameT lo ki baDe kaam ki hai daulat-e-gham
ise yunhi na ganwao bahut udas hai raat
base hue hain kisi ke jo lams-e-rangin se
wo bistare na lagao bahut udas hai raat
isi khanDar mein kahin kuchh diye hain TuTe hue
inhin se kaam chalao bahut udas hai raat
tamaddunon ke wo din raat ho gai jin ki
kuchh un ke haal batao bahut udas hai raat
liye hue hain jo bite ghamon ke afsane
wo zindagi hi bulao bahut udas hai raat
bharam nashat-o-tarab ke na aur khul jaen
mai-o-ayagh baDhao baDi udas hai raat
kabhi tumhaare yahan bhi hui hai raat aisi
muqaddaron ke KHudao bahut udas hai raat
do-atisha na bana de ise nawa-e-'firaq'
ye saz-e-gham na sunao bahut udas hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.