thoDi si chaalak hai aur wo thoDi ziddi laDki hai
thoḌī sī chālāk hai aur vo thoḌī ziddī laḌkī hai
phir bhī mujh ko lagtā hai vo kaafī achchhī laḌkī hai
bhiiḌ bharī is duniyā meñ vo bilkul tanhā hai lekin
chehre par muskān sajā.e hañstī gaatī laḌkī hai
dekhoge to sochoge vo thoḌī sī lā-parvā hai
lekin zimma-dār bahut hai himmat vaalī laḌkī hai
tum se aise baat karegī bātoñ meñ aa jāoge
ḳhush ho kar ye keh uTThoge kitnī pyārī laḌkī hai
bāhar se vo ro'b dikhā kar sab ko sīdhā rakhtī hai
andar se mā'sūm bahut hai bholī-bhālī laḌkī hai
pākīza sī ġhuncha-dahan hai naaz uThāne vaalī bhī
dil-kash bhī jazbātī bhī vo sīdhī sachchī laḌkī hai
us se milnā chāhoge to paas kahīñ mil jā.egī
merī ġhazloñ kī zīnat vo 'mīnā' jaisī laḌkī hai
thoDi si chaalak hai aur wo thoDi ziddi laDki hai
phir bhi mujh ko lagta hai wo kafi achchhi laDki hai
bhiD bhari is duniya mein wo bilkul tanha hai lekin
chehre par muskan sajae hansti gati laDki hai
dekhoge to sochoge wo thoDi si la-parwa hai
lekin zimma-dar bahut hai himmat wali laDki hai
tum se aise baat karegi baaton mein aa jaoge
KHush ho kar ye keh uTThoge kitni pyari laDki hai
bahar se wo ro'b dikha kar sab ko sidha rakhti hai
andar se ma'sum bahut hai bholi-bhaali laDki hai
pakiza si ghuncha-dahan hai naz uThane wali bhi
dil-kash bhi jazbaati bhi wo sidhi sachchi laDki hai
us se milna chahoge to pas kahin mil jaegi
meri ghazlon ki zinat wo 'mina' jaisi laDki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.