jo bhi afsurda-e-KHata na hua
jo bhī afsurda-e-ḳhatā na huā
vo kabhī mā.il-e-duā na huā
har kisī par thā e'timād mujhe
lekin is baat ko zamāna huā
daar par mujh ko khīñchne vaale
lab-kushā.ī to ik bahāna huā
maut kī sarhadoñ ko chhū kar bhī
zindagī se mujhe gilā na huā
dekhnā ye hai kaun aa.egā
jab mire ghar meñ boriyā na huā
'umr bhar sochtā rahā lekin
tark-e-ulfat kā hausla na huā
jo bhi afsurda-e-KHata na hua
wo kabhi mail-e-dua na hua
har kisi par tha e'timad mujhe
lekin is baat ko zamana hua
dar par mujh ko khinchne wale
lab-kushai to ek bahana hua
maut ki sarhadon ko chhu kar bhi
zindagi se mujhe gila na hua
dekhna ye hai kaun aaega
jab mere ghar mein boriya na hua
'umr bhar sochta raha lekin
tark-e-ulfat ka hausla na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.