achchha laga to kar liya warna nahin kiya
achchhā lagā to kar liyā varna nahīñ kiyā
ham ne ba-zor kuchh bhī gavāra nahīñ kiyā
ham to qubūl karte rahe us se jo milā
ham ne ġham-e-hayāt kā shikva nahīñ kiyā
duniyā jo kahtī thī vo kiye jā rahe the ham
afsos aap ne jo kahā thā nahīñ kiyā
chup-chāp hī chale ga.e vo kuchh kahe baġhair
jhūTā bhī lauT aane kā vā'da nahīñ kiyā
qissa tumhārā sun ke yahī pūchhte haiñ log
us ne tumhāre saath bhī achchhā nahīñ kiyā
achchha laga to kar liya warna nahin kiya
hum ne ba-zor kuchh bhi gawara nahin kiya
hum to qubul karte rahe us se jo mila
hum ne gham-e-hayat ka shikwa nahin kiya
duniya jo kahti thi wo kiye ja rahe the hum
afsos aap ne jo kaha tha nahin kiya
chup-chap hi chale gae wo kuchh kahe baghair
jhuTa bhi lauT aane ka wa'da nahin kiya
qissa tumhaara sun ke yahi puchhte hain log
us ne tumhaare sath bhi achchha nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.