Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai

Obaidullah Aleem

shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai

Obaidullah Aleem

shikasta-hāl be-āsrā lagtā hai

ye shahr dil se ziyāda dukhā lagtā hai

har ik ke saath koī vāqi.a lagtā hai

jise bhī dekho vo khoyā huā lagtā hai

zamīn hai so vo apnī gardishoñ meñ kahīñ

jo chāñd hai so vo TuuTā huā lagtā hai

mere vatan pe utarte hue añdheroñ ko

jo tum kaho mujhe qahr-e-ḳhudā lagtā hai

jo shaam aa.ī to phir shaam lagā darbār

jo din huā to vo din karbalā lagtā hai

ye raat khā ga.ī ik ek kar ke saare charāġh

jo rah gayā hai vo bujhtā huā lagtā hai

duā karo ki maiñ us ke liye duā ho jā.ūñ

vo ek shaḳhs jo dil ko duā lagtā hai

to dil meñ bujhne lagtī hai kā.enāt tamām

kabhī kabhī jo mujhe bujhā lagtā hai

jo aa rahī hai sadā ġhaur se suno us ko

ki is sadā meñ ḳhudā boltā lagtā hai

abhī ḳharīd leñ duniyā kahāñ mahñgī hai

magar zamīr saudā burā lagtā hai

ye maut hai koī āḳhirī visāl ke ba.ad

ajab sukūn meñ soyā huā lagtā hai

havā-e-rañg-e-do-ālam meñ jāgtī huī lai

'alīm' kahīñ naġhma-sarā lagtā hai

shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai

ye shahr dil se ziyaada dukha sa lagta hai

har ek ke sath koi waqia sa lagta hai

jise bhi dekho wo khoya hua sa lagta hai

zamin hai so wo apni gardishon mein kahin

jo chand hai so wo TuTa hua sa lagta hai

mere watan pe utarte hue andheron ko

jo tum kaho mujhe qahr-e-KHuda sa lagta hai

jo sham aai to phir sham ka laga darbar

jo din hua to wo din karbala sa lagta hai

ye raat kha gai ek ek kar ke sare charagh

jo rah gaya hai wo bujhta hua sa lagta hai

dua karo ki main us ke liye dua ho jaun

wo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai

to dil mein bujhne si lagti hai kaenat tamam

kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai

jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko

ki is sada mein KHuda bolta sa lagta hai

abhi KHarid len duniya kahan ki mahngi hai

magar zamir ka sauda bura sa lagta hai

ye maut hai ya koi aaKHiri visal ke baad

ajab sukun mein soya hua sa lagta hai

hawa-e-rang-e-do-alam mein jagti hui lai

'alim' hi kahin naghma-sara sa lagta hai

RECITATIONS

Obaidullah Aleem

Obaidullah Aleem,

Obaidullah Aleem

shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai Obaidullah Aleem

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now