jhum kar gao main sharabi hun
jhuum kar gaao maiñ sharābī huuñ
raqs farmāo maiñ sharābī huuñ
ek sajda ba-nām-e-mai-ḳhāna
dosto aao maiñ sharābī huuñ
log kahte haiñ raat bait chukī
mujh ko samjhāo maiñ sharābī huuñ
aaj in reshmī ghaTāoñ ko
yuuñ na bikhrāo maiñ sharābī huuñ
hādse roz hote rahte haiñ
bhuul bhī jaao maiñ sharābī huuñ
mujh pe zāhir hai aap kā bātin
muñh na khulvāo maiñ sharābī huuñ
jhum kar gao main sharabi hun
raqs farmao main sharabi hun
ek sajda ba-nam-e-mai-KHana
dosto aao main sharabi hun
log kahte hain raat bait chuki
mujh ko samjhao main sharabi hun
aaj in reshmi ghaTaon ko
yun na bikhrao main sharabi hun
hadse roz hote rahte hain
bhul bhi jao main sharabi hun
mujh pe zahir hai aap ka baatin
munh na khulwao main sharabi hun
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 373)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956)
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.