wo insan hun zaban shirin nazar zishan rakhta hun
wo insan hun zaban shirin nazar zishan rakhta hun
Animesh Sharma Aatish
MORE BYAnimesh Sharma Aatish
vo insāñ huuñ zabāñ shīrīñ nazar zīshān rakhtā huuñ
maiñ saare din laboñ par maḳhmalī muskān rakhtā huuñ
na hindū huuñ na muslim huuñ na 'īsā.ī na sikh yaaro
maiñ insāñ huuñ so insānī dharam īmān rakhtā huuñ
shahīdoñ kī 'aqīdat meñ vatan ke vāste har pal
kafan sar par hathelī par maiñ apnī jaan rakhtā huuñ
mirī jaañ bhī agar nikle vatan kī raah meñ nikle
yahī hasrat yahī jazba yahī armān rakhtā huuñ
kabhī bhī jab tumhārā man kare to aazmā lenā
maiñ apne jism kī rag rag meñ hindustān rakhtā huuñ
wo insan hun zaban shirin nazar zishan rakhta hun
main sare din labon par maKHmali muskan rakhta hun
na hindu hun na muslim hun na 'isai na sikh yaro
main insan hun so insani dharam iman rakhta hun
shahidon ki 'aqidat mein watan ke waste har pal
kafan sar par hatheli par main apni jaan rakhta hun
meri jaan bhi agar nikle watan ki rah mein nikle
yahi hasrat yahi jazba yahi arman rakhta hun
kabhi bhi jab tumhaara man kare to aazma lena
main apne jism ki rag rag mein hindustan rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.