Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soz-e-ulfat dard-e-dil zaKHm-e-jigar ki baat hai

Noor Qureshi

soz-e-ulfat dard-e-dil zaKHm-e-jigar ki baat hai

Noor Qureshi

MORE BYNoor Qureshi

    soz-e-ulfat dard-e-dil zaḳhm-e-jigar kī baat hai

    chāra-sāzī kī nahīñ ab to asar kī baat hai

    jā-e-hairat hai ki 'ahd-e-mausam-e-gul meñ bhī aaj

    jis taraf bhī dekhiye barq-o-sharar kī baat hai

    shaam kā vā'da thā lekin ab sahar hone ko hai

    kaise vo bhūle abhī to dopahar kī baat hai

    tū kitāb-e-zindagānī ko zarā paḌh kar to dekh

    har varaq par apne hī ḳhūn-e-jigar kī baat hai

    vo mujhe zarra samajhte haiñ maiñ un ko āftāb

    apnī apnī vus'at-e-fikr-o-nazar kī baat hai

    iqtizā-e-vaqt ne badlā hai aisā rang 'nūr'

    ahl-e-zulmat kī zabāñ par bhī sahar kī baat hai

    soz-e-ulfat dard-e-dil zaKHm-e-jigar ki baat hai

    chaara-sazi ki nahin ab to asar ki baat hai

    ja-e-hairat hai ki 'ahd-e-mausam-e-gul mein bhi aaj

    jis taraf bhi dekhiye barq-o-sharar ki baat hai

    sham ka wa'da tha lekin ab sahar hone ko hai

    kaise wo bhule abhi to dopahar ki baat hai

    tu kitab-e-zindagani ko zara paDh kar to dekh

    har waraq par apne hi KHun-e-jigar ki baat hai

    wo mujhe zarra samajhte hain main un ko aaftab

    apni apni wus'at-e-fikr-o-nazar ki baat hai

    iqtiza-e-waqt ne badla hai aisa rang 'nur'

    ahl-e-zulmat ki zaban par bhi sahar ki baat hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now