bura karta hai phir bhi yar achchha lagne lagta hai
burā kartā hai phir bhī yaar achchhā lagne lagtā hai
na-jāne kaise vo har baar achchhā lagne lagtā hai
phir ik din aap apnī ik laḌā.ī haar jaate haiñ
phir ik din aap ko bāzār achchhā lagne lagtā hai
'imārat jis kā Dar rahtā hai kab mismār ho jaa.e
vo ho jaatī hai jab mismār achchhā lagne lagtā hai
maiñ jis meñ DhūñDtā huuñ ghar usī insān ko aksar
banānā darmiyāñ dīvār achchhā lagne lagtā hai
mire hālāt aise haiñ mirī sohbat meñ rahne se
agar kar de koī inkār achchhā lagne lagtā hai
bura karta hai phir bhi yar achchha lagne lagta hai
na-jaane kaise wo har bar achchha lagne lagta hai
phir ek din aap apni ek laDai haar jate hain
phir ek din aap ko bazar achchha lagne lagta hai
'imarat jis ka Dar rahta hai kab mismar ho jae
wo ho jati hai jab mismar achchha lagne lagta hai
main jis mein DhunDta hun ghar usi insan ko aksar
banana darmiyan diwar achchha lagne lagta hai
mere haalat aise hain meri sohbat mein rahne se
agar kar de koi inkar achchha lagne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.