zindagi KHwahishon ka dariya hai
zindagī ḳhvāhishoñ kā dariyā hai
aur duniyā misāl-e-sahrā hai
ab bhī saa.e ke saath dhuup nahīñ
dhuup ke saath ab bhī saayā hai
us tasavvur se hai vajūd-o-'adam
jis tasavvur meñ tū samāyā hai
jo bichhaḌtā hai phir nahīñ miltā
jo bhī miltā hai so bichhaḌtā hai
zindagī un ke paaoñ chūmegī
hādsoñ ne jinheñ pukārā hai
kashmakash hai 'azāb-e-jāñ 'tāriq'
keh bhī Daalo ki mudda'ā kyā hai
zindagi KHwahishon ka dariya hai
aur duniya misal-e-sahra hai
ab bhi sae ke sath dhup nahin
dhup ke sath ab bhi saya hai
us tasawwur se hai wajud-o-'adam
jis tasawwur mein tu samaya hai
jo bichhaDta hai phir nahin milta
jo bhi milta hai so bichhaDta hai
zindagi un ke paon chumegi
hadson ne jinhen pukara hai
kashmakash hai 'azab-e-jaan 'tariq'
keh bhi Dalo ki mudda'a kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.