Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

Jumbish Khairabadi

sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

Jumbish Khairabadi

savād-e-manzar-e-ḳhvāb-e-pareshāñ kaun dekhegā

asīr-e-zulf ho kar shām-e-hijrāñ kaun dekhegā

guloñ dilkashī fasl-e-bahārāñ kaun dekhegā

na hoñge jab hamīñ rañg-e-gulistāñ kaun dekhegā

shab-e-ġham tum na aa.e ġham nahīñ ġham hai to ye ġham hai

mire dāman pe ashkoñ charāġhāñ kaun dekhegā

gudāz-e-sham.a sūrat javāz-e-ġham karo paidā

ye parvāno tumhārā soz-e-pinhāñ kaun dekhegā

qayāmat meñ laboñ par shikva-hā-e-pur-jafā kar

tirī ma.asūm fitrat ko pashemāñ kaun dekhegā

yaqīnan shauq ke pardoñ ko bhī āñkhoñ se uThnā hai

nahīñ to hashr meñ kal rū-e-jānāñ kaun dekhegā

garebāñ phaaḌ kar 'jumbish' chalo phūloñ mahfil meñ

ye sahrā hai yahāñ hāl-e-pareshāñ kaun dekhegā

sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

asir-e-zulf ho kar sham-e-hijran kaun dekhega

gulon ki dilkashi fasl-e-bahaaran kaun dekhega

na honge jab hamin rang-e-gulistan kaun dekhega

shab-e-gham tum na aae gham nahin gham hai to ye gham hai

mere daman pe ashkon ka charaghan kaun dekhega

gudaz-e-shama ki surat jawaz-e-gham karo paida

ye parwano tumhaara soz-e-pinhan kaun dekhega

qayamat mein labon par shikwa-ha-e-pur-jafa la kar

teri masum fitrat ko pasheman kaun dekhega

yaqinan shauq ke pardon ko bhi aankhon se uThna hai

nahin to hashr mein kal ru-e-jaanan kaun dekhega

gareban phaD kar 'jumbish' chalo phulon ki mahfil mein

ye sahra hai yahan haal-e-pareshan kaun dekhega

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now