Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

Shahryar

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

Shahryar

jab bhī miltī hai mujhe ajnabī lagtī kyuuñ hai

zindagī roz na.e rañg badaltī kyuuñ hai

dhuup ke qahr Dar hai to dayār-e-shab se

sar-barahna koī parchhā.īñ nikaltī kyuuñ hai

mujh ko apnā na kahā is gilā tujh se nahīñ

is shikva hai ki begāna samajhtī kyuuñ hai

tujh se mil kar bhī na tanhā.ī miTegī merī

dil meñ rah rah ke yahī baat khaTaktī kyuuñ hai

mujh se kyā pūchh rahe ho mirī vahshat sabab

bū-e-āvāra se pūchho ki bhaTaktī kyuuñ hai

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

zindagi roz nae rang badalti kyun hai

dhup ke qahr ka Dar hai to dayar-e-shab se

sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai

mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin

is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai

tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri

dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai

mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab

bu-e-awara se puchho ki bhaTakti kyun hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now