Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar dil se bhulai meri chahat nahin jati

Naheed Virk

gar dil se bhulai meri chahat nahin jati

Naheed Virk

MORE BYNaheed Virk

    gar dil se bhulā.ī mirī chāhat nahīñ jaatī

    kyuuñ phir tirī inkār aadat nahīñ jaatī

    phir oḌh hai ham ne tire naam chādar

    phir dil se, vahī ghar zarūrat nahīñ jaatī

    kyuuñ raat ke parde meñ chhupā din nahīñ ātā?

    kyuuñ aañkh se lipTī ye masāfat nahīñ jaatī

    kyuuñ vaqt rukā hai mirī āñkhoñ meñ abhī tak?

    kyuuñ lams tere vo tamāzat nahīñ jaatī

    kyuuñ vasl bārish nahīñ hotī mire āñgan?

    kyuuñ hijr 'nāhīd' ye hiddat nahīñ jaatī

    gar dil se bhulai meri chahat nahin jati

    kyun phir teri inkar ki aadat nahin jati

    phir oDh li hai hum ne tere nam ki chadar

    phir dil se, wahi ghar ki zarurat nahin jati

    kyun raat ke parde mein chhupa din nahin aata?

    kyun aankh se lipTi ye masafat nahin jati

    kyun waqt ruka hai meri aankhon mein abhi tak?

    kyun lams ki tere wo tamazat nahin jati

    kyun wasl ki barish nahin hoti mere aangan?

    kyun hijr ki 'nahid' ye hiddat nahin jati

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now