Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao

Rajinder Manchanda Bani

ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao

Rajinder Manchanda Bani

ai lamho maiñ kyuuñ lamha-e-larzāñ huuñ batāo

kis jāgte bātin maiñ imkāñ huuñ batāo

maiñ ek khule bāb-e-tasavvur rasā.ī

maiñ kis ke liye is qadar āsāñ huuñ batāo

kis lams tahrīr huuñ mehrāb-e-havā par

kis lafz maf.hūm-e-farāvāñ huuñ batāo

kis manzar-e-isbāt ke hoñToñ ziyā huuñ

kis chup maiñ āvāz-e-farāvāñ huuñ batāo

maiñ silsila-dar-silsila ik nāma-e-raushan

kis harf-e-bashārat dabistāñ huuñ batāo

kis bosa-e-be-sāḳhta huuñ maiñ taqaddus

kis sīna-e-be-dāġh armāñ huuñ batāo

maiñ sub.h ke nazzāra-e-avval ḳhunuk

maiñ kis ye sarmāya-e-arzāñ huuñ batāo

ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao

kis jagte baatin ka main imkan hun batao

main ek khule bab-e-tasawwur ki rasai

main kis ke liye is qadar aasan hun batao

kis lams ki tahrir hun mehrab-e-hawa par

kis lafz ka mafhum-e-farawan hun batao

kis manzar-e-isbaat ke honTon ki ziya hun

kis chup ki main aawaz-e-farawan hun batao

main silsila-dar-silsila ek nama-e-raushan

kis harf-e-bashaarat ka dabistan hun batao

kis bosa-e-be-saKHta ka hun main taqaddus

kis sina-e-be-dagh ka arman hun batao

main subh ke nazzara-e-awwal ki KHunuk bu

main kis ka ye sarmaya-e-arzan hun batao

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now