Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ahl-e-wafa dad-e-jafa kyun nahin dete

Iqbal Azeem

ai ahl-e-wafa dad-e-jafa kyun nahin dete

Iqbal Azeem

ai ahl-e-vafā dād-e-jafā kyuuñ nahīñ dete

so.e hue zaḳhmoñ ko jagā kyuuñ nahīñ dete

is jashn-e-charāġhāñ se to behtar the añdhere

in jhūTe charāġhoñ ko bujhā kyuuñ nahīñ dete

jis meñ na koī rañg na āhañg na ḳhushbū

tum aise gulistāñ ko jalā kyuuñ nahīñ dete

dīvār ye uzr sunā jā.egā kab tak

dīvār agar hai to girā kyuuñ nahīñ dete

chehroñ pe jo Daale hue baiThe haiñ naqābeñ

un logoñ ko mahfil se uThā kyuuñ nahīñ dete

tauba yahī vaqt hai kyā soch rahe ho

sajde meñ jabīnoñ ko jhukā kyuuñ nahīñ dete

ye jhūTe ḳhudā mil ke Dubo deñge safīna

tum hādī-e-bar-haq ko sadā kyuuñ nahīñ dete

ai ahl-e-wafa dad-e-jafa kyun nahin dete

soe hue zaKHmon ko jaga kyun nahin dete

is jashn-e-charaghan se to behtar the andhere

in jhuTe charaghon ko bujha kyun nahin dete

jis mein na koi rang na aahang na KHushbu

tum aise gulistan ko jala kyun nahin dete

diwar ka ye uzr suna jaega kab tak

diwar agar hai to gira kyun nahin dete

chehron pe jo Dale hue baiThe hain naqaben

un logon ko mahfil se uTha kyun nahin dete

tauba ka yahi waqt hai kya soch rahe ho

sajde mein jabinon ko jhuka kyun nahin dete

ye jhuTe KHuda mil ke Dubo denge safina

tum hadi-e-bar-haq ko sada kyun nahin dete

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now