umr guzri hai bach-bachaw mein
'umr guzrī hai bach-bachāv meñ
is kā matlab sabhī dabāv meñ
rahne vaalā nahīñ koī gaañv
ab ke dariyā.ī is kaTāv meñ
ye ta'āruf meñ aap ke shāmil
aap māhir haiñ muk-mukā.v meñ
ḳhair us kī nahīñ are duniyā
aa gayā jo bhī tere daav meñ
daal meñ kuchh to kaalā lagtā hai
is qadar us ke is jhukāv meñ
sochnā is pe baiTh ke tanhā
keh ga.e kyā se kyā bahāv meñ
kyā milā hai 'buḳhārī' jī tum ko
jhoñk ke ḳhud ko yuuñ alaav meñ
ek apnā sā lutf rakhte haiñ
she'r 'āsim' tire rachāv meñ
'umr guzri hai bach-bachaw mein
is ka matlab sabhi dabaw mein
rahne wala nahin koi ganw
ab ke dariyai is kaTaw mein
ye ta'aruf mein aap ke shamil
aap mahir hain muk-mukaw mein
KHair us ki nahin are duniya
aa gaya jo bhi tere daw mein
dal mein kuchh to kala lagta hai
is qadar us ke is jhukaw mein
sochna is pe baiTh ke tanha
keh gae kya se kya bahaw mein
kya mila hai 'buKHari' ji tum ko
jhonk ke KHud ko yun alaw mein
ek apna sa lutf rakhte hain
she'r 'asim' tere rachaw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.