ek ik dil mein chiKH raha hai lahr lahr dariya
Interesting Fact
(منظور عارف کے نام)
ik ik dil meñ chīḳh rahā hai lahr lahr dariyā
Duubā kaun hai phuuT bahā hai shahr shahr dariyā
ghultā jaa.e shahd se chashmoñ meñ ik niilā rang
chhalnī chhalnī kartā jaa.e zahr zahr dariyā
dahshat khaa.e log haiñ saare apne gharoñ meñ band
dīvāroñ se sar Takrā.e qahr qahr dariyā
bahr bahr kā phailāv thā dariyāoñ ke saath
dariyā ḳhushk hue to ab hai bahr bahr dariyā
aisā TuuT ke barse apne pyaar kā bādal aaj
vaadī vaadī bhar bhar jaa.e nahr nahr dariyā
sadiyāñ sar se guzartī jaa.eñ koī or na Thor
vaqt ke bahr meñ ghul ghul jaa.e pahr pahr dariyā
azal abad us kī do parteñ ek se ek 'jamīl'
karvaT karvaT jal-thal jal-thal dahr dahr dariyā
ek ek dil mein chiKH raha hai lahr lahr dariya
Duba kaun hai phuT baha hai shahr shahr dariya
ghulta jae shahd se chashmon mein ek nila rang
chhalni chhalni karta jae zahr zahr dariya
dahshat khae log hain sare apne gharon mein band
diwaron se sar Takrae qahr qahr dariya
bahr bahr ka phailaw tha dariyaon ke sath
dariya KHushk hue to ab hai bahr bahr dariya
aisa TuT ke barse apne pyar ka baadal aaj
wadi wadi bhar bhar jae nahr nahr dariya
sadiyan sar se guzarti jaen koi or na Thor
waqt ke bahr mein ghul ghul jae pahr pahr dariya
azal abad us ki do parten ek se ek 'jamil'
karwaT karwaT jal-thal jal-thal dahr dahr dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.